pyaar ye jaane kaisa hai Song Lyrics From Rangeela (1995) | Hindi Movie

Aarde Lyrics


Album: Rangeela 

Starring: Aamir Khan, Jackie Shroff, Urmila Matondkar
Music: A R Rahman
Lyrics-Mehboob
Singers :Udit Narayan,Kavita Krishna murthy
Producer: Jhamu Sughand, Ram Gopal Varma
Director:Ram Gopal Varma
Year: 1995








pyaar ye jaane kaisa hai 
kya kahein ye kuchh aisa hai
kabhi dard ye deta hai 
kabhi chein ye deta hai
kabhi gam deta hai kabhi khushi deta hai

pyaar ye jaane kaisa hai 
kya kahein ye kuchh aisa hai
kabhi dard ye deta hai 
kabhi chein ye deta hai
kabhi gam deta hai kabhi khushi deta hai

din to guzarte hain jiske khayaalon mein
raatein guzarti hain uski hi yaadon mein
waqt milan ka aaye to raahon mein
jhoome bahaarein phoolon ki kaliyon mein

bhanvaron ki toli aaye
kaliyon pe vo mandaraaye
darr ye fiza ka bhi dil se mitaaye

pyaar ye jaane kaisa hai 
kya kahein ye kuchh aisa hai
kabhi dard ye deta hai 
kabhi chein ye deta hai
kabhi gam deta hai kabhi khushi deta hai

aankhon pe chhaye hain sapna banke to
koi paraaya aaye apna banke
chalte chalte hi raahon ki dhoop mein
saathi mil jaaye koi saaya banke

manzil aaye na aaye ya koi toofan aaye
dilwaalon ko ye jeena sikhaaye

pyaar ye jaane kaisa hai kya 
kahein ye kuchh aisa hai
kabhi dard ye deta hai 
kabhi chein ye deta hai
kabhi gam deta hai kabhi khushi deta hai

pyaar ye jaane kaisa hai 
kya kahein ye kuchh aisa hai
kabhi dard ye deta hai 
kabhi chein ye deta hai
kabhi gam deta hai kabhi khushi deta hai





Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)